Wednesday, December 29, 2010

Kuch toh badla h

girti barf aur behte jharno me bhi sukoon nahi mila tha man ko mere...
nadi k beech thehri naav me baithe hue bhi shor sunaai deta tha...

un unche pahado k sir chhomte badalo ki mauj bewkoofi lagti thi...
khushnuma logo ki baaton pe hasna, muskurana..ek majboori si lagti thi...

roothi thi manzilein ..ya shayad main hi dara karta tha sapne sajane se...
bheed k sath daud rha tha..tanha sa main...jald se zindagi khatm karne ki koshish me...

jo taare tod tod k sajaye apni raaho me maine...chubha karte the whi mere paavon me...
tere aa jane se ab thoda thehar jane ko jee karta h thoda...kisi gehre need ki chanv me...

udasi toh mere jivan me sada rahi....ab toh khush bhi hota hu kabhi kabhi..kuch jyada hi...
rukh badla h kuch toh mera...ab mere bhi kamre me barish ki boondein ghus jati h khidki se...

jab se dekha h tujhe muskurate hue us soone samndar k kinare pe...hairaan hu main...
aaya toh pehle bhi karta tha shayd main yaha pichle dino...par yeh jagah itni hasi toh kabhi na thi...

No comments:

Post a Comment

    © 2010-2012 by Ravi Sharma. All Rights Reserved.