Saturday, December 4, 2010

Krishan Vandana

Jisne di bachpan ki nathkath shararaton aur anand ko nayi paribhasha ....
Chor kehlana bhi hua gawara aisi thi unki makhan khane ki abhilasha...

Bansi ki dhun pe jhooma zamana, usi najuk ungali pe govardhan utaya..
Usi nanhe kanha ko gopiyo ne, chachiya bhari chach pe naach nachaya...

Dosti nibhai sudama se anokhi, rann me Geeta ka alokik gyan sunaya..
Kaisa nishwarth.. paavan prem kiya radhe se, rishta ek benaam bnaya...

Muraliya sohe jinke kar kamlon me...adhbut morpankh h shobha bhaal ki..
Mera koti koti abhinandan unke chrano me...bolo Jai kanhaiya laal ki...

No comments:

Post a Comment

    © 2010-2012 by Ravi Sharma. All Rights Reserved.