Bhool nhi paaya main ab tak...
Aangan me bichi chharpari aur ghar ki seedhiyo par aseem anand se bhara aalhadit mann...
Kabhi pedo k beech bandhe kapde me toh kabhi thandi mitti me besudh soya mera bachpan....
Dikhai deta h mujhe aaj bhi...
Ujale me khet ki faslo me khelta aur usi ko andhere me parchaai maan kar darta hua main...
Nirbodh se mere naino me zid poori na hone pe kabhi aakrosh aur kabhi aansoo bharta hua main....
Sunai deti h mujhe ab bhi...
Wo subh lori si sunayi padti koyal ki aawaz aur loo me patto ki ghabrai si sarsaraahat...
Belgaadi ki ghantiyaan, behna ki daant aur pani bhar k lati maa k pajeb saje kadmo ki aahat...
Yaad aata h mujhe aaj talak...
Wo dosto k sath chor sipahi, gulli danda khelta ek baccha...nischal, nishkapat, muskurata hua....
Wo barish se bhi darta nanha sa tufaan, fursat me kaagaz ki naav tairaata aur hawaijahaj udata hua...
Par Dhoond nhi pata main ab...
Mere is naye aakar aur vyavhaar me, wo naadani, hatt, hairani aur abhilasha...wo masoom si zigyasa...
Nishchint hokar sone aur khush uthne ki umeed kho gyi h in zimmedariyo me aise...jaise pani beech batasha...
.......Jaise pani beech batasha.......